Sunday, 3 July 2011


Waqt nikalta jata hai
Insan socata he rah jata hai

Naseeb kay bharosay jo rahta hai
Wo kahan kuch kar pata hai

Khuda nay to wada kiya hai denay hai
Par hoslay kay bina kahan kuch ho pata hai

Aasma chunay ki Koshish to hum bhi karangay zarur
Dekhtay hai panchi kahan tak udd pata hai

Gir bhi jayangay to koi malal na hoga
Jo girta hai wohi to samhal pata hai

Bandh ki takkat ka andaza koi kahan kar pata hai
Salab jab tak nahi aata hai koi kahan kuch samajh pata hai

No comments:

Post a Comment