Sach to yeh hai kasoor apna hai,
chaand ko choone k tamanna kar baithe,
asmaan ko zameen par maanga,
phool ko chaha k pathron par khile,
kaaton mein talaash kI khushbo ki,
barf mein dhoondte rahe garmi,
khwaab jo dekha to chaha sach ho jaye,
sazaa iski to hame milni hi thi,
sach to yeh hai kasoor apna hai....
Such a beautiful painful shayari
ReplyDeleteI want to read full lines of this shayari
Thanks for reading but this a complete shayari
ReplyDeleteEsi aur bhi lines publish kijiega
ReplyDeleteJaane kiski talaash unki aankhon mein thi,
ReplyDeleteaarzoo ke musaafir bhatakte rahe,
jitne bhi woh chale utne hi bichh gaye raah mein faasalen ,
khwaab manzil the aur manzilen khwaab thi ,
raaston se nikalte rahe raaste,
jaane kis waaste ,
aarzoo ke musaafir bhatakte rahe...
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai ,
itni jalti dhoop mein yoon kab tak ghumoge ,
aao, chalke beete dino ki chhanv mein baithe ,
us lamhein ki baat karein jisme koyi phool khila tha ,
us lamhein ki baat karein ke jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi ,
us lamhein ki baat karein ke jisme kisi ki nazaron ke moti barse the ,
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai ,
itni jalati dhoop mein yoon kab tak ghumoge..
Sach to yeh hai kusoor apna hai ,
chaand ko chhoone ki tamanna ki ,
aasmaan ko zameen par maanga ,
phool chaaha ki patthron pe khile,
kaanton mein ki taraash khushbu ki,
aarzoo ki ke aag thandak de,
barf mein dhoondhte rahe garmi,
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye,
is ki humko sazaa to milni thi,
sach to yeh hai kusoor apna hai..
Kehne ko sath apne, ek duniya chalti hai,
par chupke is dil me tanhai palti hai
Bus yaad sath hai, teri yaad sath hai...............
Heart touching lines
ReplyDeleteFor Complete Poetry Please visit this channel Kitabe Muhabbat.
ReplyDeletehttps://youtu.be/EE-fy6SjruE