Sunday, 3 July 2011


shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain

phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain

hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai

jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain

par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain

zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain

voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain

No comments:

Post a Comment