Sunday, 3 July 2011


Dosti ek aisi pyari si dor hai,
Jo do insano ko pyar se jodti hai.

Dosti ek aisi sdabahar rahgujar hai,
Jo do anjaano ko ek duje se mila deti hai.

Dosti ek aisa jaadui gulshan hai,
Jo murjhaye phool khila deti hai.

Dosti ek aisi komal janjeer hai,
Jo parayo ko apna bana leti hai.

Dosti ek aisa majboot bandhan hai,
Jo saare bhed-bhaw mita deti hai.

Dosti ek aisa madhur sangeet hai,
Jo saare dukh door ker deti hai.

Dosti ek aise riste ka naam hai,
Jisse zindagi me khushiya aati hai.

Dosti ek aisa imthan ka naam hai,
Jisme dosto ki jaan bhi chali jaati hai.

Fir bhi such to yehi hai dosto ki,
Agar is duniya me dosti na hoti,

To ye kab ki khatm ho chuki hoti.

No comments:

Post a Comment