Monday, 4 July 2011



Jis shaks se ki, wafa hamne jyada
Us shaksh ne ki, zafa hamse jyada

Kuch jurm ki lazzat, ke tassavur ne ghera
Qatil thi magar uski ada, had se jyada

Muzrim to hame, uske ravaiyye ne banaya
Bewazah mili hamko saza , had se jyada

Hum had se gujarne, ke kayal nahi the
Kyun aane lagi yaad-e-kambhakt, had se jyada

Us baat se to koi bhi, anjan nahi hai
Kuch der ko hain jaur-o-jafa, had se jyada

Aukat hi apni, na bhula baithun main ya rab
Maqbool na kar meri dua, had se jyada

Ghar baithe hi sab kuch, jinhe mil jata hai
Wo log hi karte hain sada , had se jyada

No comments:

Post a Comment