Jab Kabhi Dekhu Haath Ki Hatheliyo Ko
Toh Khaali Yeh Najar Aati Hain
Suni Suni See Lakiro Par
Kismat Sunati Apni Kahani Hain
Poochti Hain Fasana Mujh Se Hi
Meri Tanha Zindgani Ka
Hotho Sey Toh Has Deyta Hu
Par Aankhe Such Bahati Hain
Kabhi Yu He Nikal Padta Hu
Tanhaahiyo Ke Saath Apni
Or Saath Hi Khamoshiyaa Bhi
Perchhaaiyo Mein Nazar Aati Hain
Her Pal Bebus Hain
Intzaar Mein Jiske
Woh Toh Ab Tak anjaan he Hain
Ki Intzaar Mein Kisi Ke
Jaan Aaj Bhii Kisi Ki Jaati Hain
Umeedo Se Naata Toh Bahut
Pehle He Chhut Chuka Thaa
Dhuli Dhoop Mein Dekhta Thaa
Jo Chehra Kabhi,
Ab Toh Sapne Mein Maayushi He Nazar Aati Hain.
Jab Kabhi Dekhu Haath Ki Hatheliyo Ko
Toh Khaali Yeh Najar Aati Hain
No comments:
Post a Comment