chalo eik kaam karte hain
tumhe hum bhool jaatay hain
tumharay saath jo gurzray they
tumharay paas jo guzray they
woh saray pal hamaray they
tumharay baad saharay they
jinhe ab yaad karne se
ab un ki baat karne se
nahi kuch bhi nahi hasil
karay kiyun yaad un ko dil
unhe hum bhool jaatay hain
tumhe hum bhool jaatay hain
kia tha hum ne eik wada
woh wada yaad hai kuch to
kaha tha door ho kar bhi
rahen ge paas hum dono
woh wada yaad karne se
ab os ki baat karne se
nahi kuch bhi nahi hasil
karay kiyun yaad os ko dil
osay hum bhool jaatay hain
tumhe hum bhool jatay hain
mujhe khud par yaqeen hai ye
tumhe main bhool jaon ga
agar tum phir bulao gi
to main na pass aaon ga
magar ye bhi haqiqat hai
ye mere dil ki halat hai
jo tum ko yaad karta hai
tumhare naam se ab bhi dharakta hai
osay kab tak chupaon ga
tumhe na bhool paon ga
No comments:
Post a Comment