Saturday, 6 August 2011



shaam dhhalle aayeene mein...
yuon-hee khudd ko jab sajjaao gi.....
tou main yaad aaoon ga.
appni zullffoun ko...
jab-jab rukh se hattaao gi....
tou main yaad aaoon ga.
mujhhe bhool jaana ,aasaan nain
bass ittna samanjhh lo tum...
tannhaayee mein jab-jab...
appne mann ke deeye jallao gi..
tou main yaad aaoon ga.
khuwaab mein bheege the...
barsaat mein, hamm douno ik bar
abb phir yuon-hee, kabhi bheeg
jaao gi...
tou main yaad aaoon ga.
yaad aaoon ga, uddaasi ka jo
mousam aaya, kabhi deikh leina..
ya phir koi naya jashann, chuppke se mannaao gi...
tou main yaad aaoon ga.
phool deikho gi, ketaab mein appni, koi sookhaa hooa...
gullaabi hountuon se appne..
usse ikk baar laggaao gi..
tou main yaad aaoon ga.
padte-padte ghazzal meri...
koi khuwaab jo tummhein...
aaya sannamm...
hole-hole subha, jab usse piyyaar se gunn-gunnaao gi..
tou main yaad aaoon ga.


uski kami tau hai per uske hone kaa ehsaas bhi hai
wo door tau hai magar is dil ke bahut pass bhi hai
kuchh u nwaza hai usne dard-o-gam se hamen ki
use bhulna b chahte hain or uske aane ki aas b hai

s ne door rehne ka mashvara b likha hai

sath hi muhabat ka wasta b likha hai 

us ne ye b likha hai meray ghar nahi ana 

aur saaf saaf lafzon mein rasta b likha hai 

Kuch haruf likhy hain zabt ki naseehat mein 

Kuch haruf mein uss ne hosla b likha hai 

Shukria b likha hai dil se yaad krny ka 

Dil se dil ka hai kitna fasla? B likha hai 

Kia usay likhein kia usay kahein 

Jis ne "BE-JAAN" kr k b "JAAN" likha hai. 

Saturday, 9 July 2011

Andheri raat mein aasmaan se ek tara tutta hai
Dekho aaj kisika apna uss se phir chutta hai

Dekho aasmaan phutt phutt kar ro raha hei aur ek baar
Haan kahin kisi ka dil aaj phir tutta hai
Dekho daali ka voh phool din mei murjha gaya
Shayad kisi ka sanam aaj uss se phir rutha hai
Laa raha hei mausam aaj dariya mein phir tufaan
Lag raha hei kisika dil gum mei aaj phir dubba hai
SiskiyaN le kar chal rahi hei aaj hawaiyen
Dekho kahin kisi ki aas ka diya phir bujha hai !

Wednesday, 6 July 2011


Tum aate ho roj khwabome
ye sochkar khush ho liya humne
mithi nind se kbhi na jagenge 
 ye apne aap ko bataya humne
iss kadar gaheri nind lenge
sachmuch aaoge to bhi
kabhi palake na khulengi
ye sare jamane ko bataya humne

 
 
       roothi huyi raaton ko u bhi mnaaya hamne
                                     unko behlaane ko tera khwab dikhaya hamne
       hame maloom hai tum nahi aayoge fir bhi
                                     dil ko her bar tera nam le le kar staaya hmne
       tere khwab bhi jhuthe hain teri trhaa lekin
                                   in aanko ko her bar naya khwab dikhaya hmne
       tere kaano tak nahi phuchegi meri sdaa
                                   jaante huye bhi thuje baar baar bulaaya hamne
       sukhe vpatte jo khadke kabhi hwaa ke saath
                                   tum ho ye soch ker palkon ko naa uthaya hmne

Tuesday, 5 July 2011


Har Dard Ke Piche Kisiki Yaad Hoti Hai



Sad Hindi SMS

Har Dard Ke Piche Kisiki Yaad Hoti Hai
Aap Ko Pata Na Hoga.
Apki Har Khushi Ke Peche Hamari Faryaad Hoti Hai!
`
Ho Sakta Hai Ki Hum Saath Reh Na Paye
Ek Dusre Se Kuch Keh Na Paye
Itni Nazdikyan Mat Badaiye Humse
Ki Hum Duriyon Ko Sehna Paye.
`
Aane Ki Aahat Pe Shama Jalai Hogi
Kabhi Judai Ke Gum Se Aakh Bhar Aai Hogi
Fikar Na Kar Mere Yaar
Us Rabne Milne Ki Koi To Sham Banai Hogi
`
Yaad Kar Ke Mujhe Taqleef To Hoti Hogi
Aik Qissa Hoon Puraana Sa Bhula De Mujh Ko
Dubte Dubte Aawaaz Teri Soon Jaaoon
Aakhri Baar Tu Saahil Se Sada De Mujh Ko !!!! 
`
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai


Ankh hi na royi hai ......!!



images
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai,
Humne teri khatir apna, sajna....
Humne teri khatir apna,
chain sukoon bhi khoya hai...
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai....
<.......................>
kisse se kahein kaise ye kahein,
ke tu sajna harjayi hai,
tujhko to farak nahi,
honi apne ruswaayi hai,
tujhko jajbaaton se kya...sajana..
tujhko jajbaaton se kya,
tera jameer to soya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai...
<.................>
khusiyon ka to ab kaam nahi,
bas charon taraf tanhayi hai..
khusiyon ka to ab kaam nahi,
bas charon taraf tanhayi hai..
haye maar hi daala ki
mout se badi judaayi hai...
tune tere haathon ko..sajnaa
tune tere haathon ko,
mere khoon se dhoya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai..
<.............>
kabhi jo apna kehti thi,
wo yaaron aaj parayi hai,
haye dil lagane ki sazaa,
kya khoob maine payi hai,
apne ashko se apna..sajna...
apne ashko se apna,
khud daaman maine bhigoya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai,
Ankh hi na royi hai,
dil bhi tere pyar me roya hai..

images
 
hum the jinake sahaare, wo huye naa humaare
doobee jab dil kee naiyyaa, saamane the kinaare

kyaa mohabbat ke waade, kyaa wafaa ke iraade
ret kee hain diwaare, jo bhee chaahe giraa de

hai sabhee kuchh jahaan me, dostee hain wafaa hain
apanee ye kamanaseebee, hum ko naa kuchh bhee milaa hain

yoo to duniyaan basegee, tanahaee fir bhee dasegee
jo jindagee mein kamee thee, wo kamee to rahegee

Monday, 4 July 2011




Badlon k tale

Hum yunhi sham dhale

Rooz milty rahe hain

Rooz milty raheen ge
Jab bhi poukara

Tu ne hum ko

Paas tere a jayeen ge
wadi wadi parbat parbat
Pyaar k geet rachayen ge
Waqt ka karwan

Le k jaye jahan

Har qadam par hum 
tujhe apni manzil

Kaheen ge
Aye haseen humsafar

pyaar ki rah par

Sath ayeen gi khushiyan

Sath har ghum sahen ge!

Agar Do Dil Hotey Seeney Main,

To eik Main Sirf Tum hi Tum Hotein,

Aur Dosrey Main Terey Liye Meri Mohabbat..,



Agar Do Dimaag Hote Mere Sir Main,

To Aik Main Sirf Tumhari Tasweer Hoti,

Aur Dosrey Main Tumhara Tasawur..



Agar Do Zabaan Hoti Mere Mou Main,

To eik Pe Sirf Tumhara Zikar Hota,

Aur Dosrey Tumhara Naam Jhapti..



Kaash Kabhi Aisa Bhi Hota Ke,

Tum Bhi Do Hotein Jo eik Agar Inkaar Kerdeti,

To Dosri Ko To Apna Banaa Hi leta ,


Jis shaks se ki, wafa hamne jyada
Us shaksh ne ki, zafa hamse jyada

Kuch jurm ki lazzat, ke tassavur ne ghera
Qatil thi magar uski ada, had se jyada

Muzrim to hame, uske ravaiyye ne banaya
Bewazah mili hamko saza , had se jyada

Hum had se gujarne, ke kayal nahi the
Kyun aane lagi yaad-e-kambhakt, had se jyada

Us baat se to koi bhi, anjan nahi hai
Kuch der ko hain jaur-o-jafa, had se jyada

Aukat hi apni, na bhula baithun main ya rab
Maqbool na kar meri dua, had se jyada

Ghar baithe hi sab kuch, jinhe mil jata hai
Wo log hi karte hain sada , had se jyada

Tu door hai mujh sey, per paas bhi hai ,,
Teri kami main kahin , tera ehsaas bhi hai.. 
Tujh sey Dost hain laakhon, jahan main merey, 
Per tu Dost bhi hai, aur khaas bhi hai ..

Tuney Khushiyan mujhey itni di hain keh aaj,, 
Tujhey khoney ka dil main ehsaas bhi hai ...

KHUDA ne yuun nawaza, teri Dosti se mujhey,, 
Keh mujhey khud pe gumaan hai, aur naaz bhi 



Dard-e-Dil Dard-e-Aashana Jaaney

Aur bedard Koi kya jaaney



Zulf teri hey woh bala Kaafir

Pooch mujhsay Teri bala Jaaney



Be-wafa Jaaney kya Wafe Meri

Ba-Wafa Ho Tau who Wafa Jaaney



Kar diya eik Nigah Mei Bekhud

Chashm-e-Kaaafir hey Akhir Khuda Kya Jaaney



Sarfarazi ussi ko ho tau ‘Zafar’

Aapko sab ka Khaak Pa Jaaney


Khawab-o-Khiyal Kee Batein Chore Doon

Zindagi Apni Dushwar Ker Doon

Wo Mehrban Lamhey

Jo Kabhi Naseeb The Merey

Unko Bhulo Doon Ga To Jee Na Paoon Ga

Milna Bicharna Uskee Adaa Thehri

Iss Adaa Per Humney To Apni Hasti Mita Dali

Arooj-e-Ishq Kee Dastan Kia Sunain

Un Rangeen Lamhon Ko Kion Yaad Laien

Jo Tera Na Thaa Uskey Khwab Dekhey Kion

Apni Palkon Ko Uskee Yaad Mey Rulata Hey Kion

Abkey Baras Phir Sawan Aye Gaa

Teri Ankhon Kee Piyas Bujhaye Gaa

Yoon Intezaar Mey Betha Hey Kion Khamosh

Guzri Batoon Ka Na Dey Kissi Ko Dosh