Saturday, 7 January 2012

Dua Salam Kar Jana.


Tum Raho Hum Se Door To Ik Kaam Kar Jana,
Kuch Pal Apne Humare Naam Kar Jana,

Agar Aa Jaye Mout Humein Tere Aane Se Pehle,
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehteram Kar Jana,

Na Rona Is Qadar Ke Takleef Ho Humein,
Mout Ko Bhi Mazak Samajh Kar Anjaan Ban Jana,

Main Ek Din So Jaonga Sada Ke Liye,
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnaam Kar Jana,

Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazrein Na Phairna,
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana.

Thursday, 5 January 2012

kya kahiye



Phool sa cahera chand si rangat
chaal qayamat kya kahiye

jo bhi dekhe ho jaye pagal
apni to halat kya kahiye


ek nazar se dekh lo jisko
bemaut woh to mara hi jaye

upar se bholi andar se qatil
aisi shararat kya kahiye


jisko zamana kehta hai suraj
woh to tumhara nakshe kadam hai

jisko mil jaye tumsi hasina
uski to kismat kya kahiye


Tuesday, 3 January 2012

Laakh Chaha Magar Wo Mujhe Bhula Na Saka



Laakh Chaha Magar Wo Mujhe Bhula Na Saka,
Mera Khayaal Wo Dil Se Apne Kabhi Mita Na Saka,


Mujhse Door Bahut Door Wo Ho Gaya Tha Magar,
Apni Aankhon Se Mere Chehre Ko Kabhi Hata Na Saka,


Mujhse Wo Doori Badana Chahta Tha Magar,
Par Kabhi Wo Mujhse Door Ja Na Saka,


Kitne Shikwe Hai Uske Dil Mein Mere Liye,
Chaah Kar Bhi Kabhi Wo Mujhse Bata Na Saka,


Anjaan Rakhna Chahata Tha Mujhe Wo Apni Chahat Se,
Par Kabhi Haal-E-Dil Mujhse Wo Kabhi Chupa Na Saka.

Ek ladki thi jo


ek ladki thi jo chup si rehti thi,
dard or gam woh sehti thi 
kisi se kuchh na kehti thi

us ne man mein kya hai chhupaya 
chahti hai kya kisi ko na bataya
woh tanha si rehti thi or khud se kehti thi
ek ladki thi jo chup si rehti thi

yon hi ankhei kyon nam ho jaati 
muskurate muskurate khud jane kahan kho jaati
udaas chehro par muskurahat laya karti thi 
ek ladki thi jo chup si rehti thi

us ki ada ki hai kya baat
hazaro mein bhi lagti hai woh sab mein khaas 
baaton mein us ke aisa jaadu 
jo mile us se to ho jaaye bekaboo
is mein nahi us ki koyi bhi khata 
de sakta nahi main us ki koi bhi misaal 
ek ladki thi jo chup si rehti thi 
dard or gam woh sehti thi
kisi se kuchh na kehti thi